Total Pageviews

Thursday 8 December 2011

dooriyan...miles apart


dekha abhi aasman mein do taaron ke bich ka faasla..unke beech ki doori..
mann mei khayal aaya kyu huwe ye door??  kya rahi hogi inki majboori??
fir yaad aaya ek cheez hoti h jiska naam rakha gaya h kismat..
jisme jo likha gay h uske saamne to insaan b hai bebas,,
door rehkar b un taaro me jagmagaahat jab naa huyi kam.. .
to socho yaaro pyaar ka ehsaas bada hua ya dori ka gham??

ek duje ko khush dekhne k liye jagmaate rahe dono jab tak raakh na huwe...
muskuraate rahe logo k liye diye jalaate gaye jab tak paak naa huwe...
isi himmat ka naam to pyaar ka rishta kehlataa hai..
jo hamein mushkilo mein bhi muskuraana aur jeena sikhata hai,,,,
dooriyan kitni bhi aajaye darmiyaa rishtey kabhi mit te nahi,..
jo dost sachhi dosti karte h wo in majburiyo ko samajhte h jhukte nahi...
dosti ka naata hi itna sachha aur gehra hai,,,
tabhi to dost ko buri nazar se bachaane k liye dosti ka hamesha ek pehraa haii...samje dost...

No comments:

Post a Comment