Total Pageviews

Thursday 13 March 2014

Gunehgaar hu m tera jo tujhe pyaar
De naa paaya jo tujhe kabhi the mene izhaar kiya
Bhaagte h hum khushiyon ki aur
Aur mene tujhe khud se door jaane ka har maukaa diya

Bada h dil tera jo aaj bhi tu mere saath hai
Tere badappan k aage meri kya aukaat hai
Karz kabhi na main chukaa nahi paauga teraa..
Ki tune mujhpe khushiyon ki jo barsaat hai


Ikk main hun begairat jisne hmesha
Tera dil tod kar chakna choor kiya
Ikk tu hai nekdil sangemarmar ki moorat
Jisne har tanhaayi k mauke pe mera saath diya J

Bepanaah mohabaat to kar li tujhse
Par us mohabaat ko nibhaana na aaya
Maang nahi sakta tujhse ab saath hone ka haq
Aur ye haq mene khud hi h ganwaaya L


Glti pe glti mai karta gya
Sochaa naa tha ikk din aese bhanwar me fass jauga
Dhokha diya mene tera har mod per
Iss gunaah ki sazaa m paana chahunga

Tere mere rishte ko mene
Har mod per neeche dikhaaya hai
Fir bhi tanhaayi ki un galiyon me
Mene har pal tujhe saaye ki tarah saath paaya hai


Bahut bada h tera dil
Jo iss naapak se rishta nibhaane ki chaahat hai
Mai to iss layak nahi k tere saaye k aas pass fatak saku

Ikk tu h jisne mujhe banaaya apni dosti k laayak h

No comments:

Post a Comment