Door jaane ki chaahat na thi
Par uski khushi k aage hum jhuk gye
Nazre churaana hamari fitrat na thi
Par uski muskaan pe hum ruk gye
Chaaha to tha badi shiddat se, Magar jaante na the
K meri ishq aur uski mohabbat,K rang hi alag alag thi
Main pagalo ki tarah use chaahta tha
Aur wo pagal thi jo mujhse chaht kar bethi thi…
Dard to bahut hua magar seh gye
Mere aansu chhupe dabe dabe se reh gye
Wo humein alvidaa keh kar chal diye
Us din se hum maut k intezaar me bethe reh gye L
Jaate waqt hassi thi unki chaal me
Labon pe ithlaati thi khushiyon ki chamm cham
Yahi taaumr humne chaaha tha rabba
Door bhale krde par dede mujhe uske job hi the saare gham
Shikaayat kya krte maanghi humne kuch aesi cheez thi
Jo thi hamari aaukaat se bahar, fir kese paa skte the
Kar k ishq khud ko bhulaa bethe na jaane kyu,,,
Hum to pehle waale asshiq mizaaz hi acche the L
No comments:
Post a Comment