Aaj fir
dil ne ik tamanna ki,
k kassh
kisi tarah se fir mera pyar mujhe wapis mil jaaye...
naadan h
ye jaanta nahi,
jo tera
tha hi nahi kabhi, wo aaj kese tera ho jaaye???
mann ka
kya hai ..
ye to
hazaaro khwahishe roz sajaa leta hai,,,
zaruri to
nahi har khwahish poori ho,
fir bhi
naa jane kyu har roz ye dil khud ko sazaa deta hai...
paas hona
hi kaafi nahi kya..
jab tu
door hoga is dil ko kaun samjayega...
ab kam se
kam deedar to roz ho jata hai,
khuda na
kar gar tu door ho gya, to fir kese khud ko ye naadan sambhal
payega??
roti huyi
un palko ko na chup karane wala koi hoga,
aansuo ka
samandar behta hi chala jayega,,,
par aage
ka soch k aaj kyu gawa raha hai?
Ye aaj bhi
ret ki tarah teri muthi se choot ta chala jayega,,
ae dil
sambhal ja zara,
na kar wo
khata jo sadiyo se log karte aaye hai,,
hamesha k
liye paane ki chaahat me,
jo hath me
h use bhi gwaate chale aaye hai,,
pyar ka
matlab paana nahi hoti...
fir se
dikha k is jahaan ko sacche pyar ka matlab..
khud ko na
kasoorvar samjhe wo tere jaane k liye..
khushiya
itni bhar de uske charo aur, k bhool jaye wo sab...
No comments:
Post a Comment