Total Pageviews

Tuesday, 23 April 2013

tears


Its breaking me from inside..
every single day...


a thought of you ..
leaves me in an all new world of memories...


in search of you my soul wanders,,
n there’s nothing but dark hours...


waiting for me there's nothing else.,
no one no happiness only miseries..




its unbearable the pain,,
it hurts deep down inside


to know you are not mine,,
these silent tears are jammed in my body,,,


i want to burst out,,
burst out loud to make everyone hear,,


but there is nothing i can do,
none whose mine... there's nobody...


i wish i could throw away my breaths.,
tear my body apart,,


i wish my end comes sooner,,
this misery i wish it dint have a start....

Friday, 19 April 2013

Tamanna . . . .


Aaj fir dil ne ik tamanna ki,
k kassh kisi tarah se fir mera pyar mujhe wapis mil jaaye...

naadan h ye jaanta nahi,
jo tera tha hi nahi kabhi, wo aaj kese tera ho jaaye???

mann ka kya hai ..
ye to hazaaro khwahishe roz sajaa leta hai,,,

zaruri to nahi har khwahish poori ho,
fir bhi naa jane kyu har roz ye dil khud ko sazaa deta hai...

paas hona hi kaafi nahi kya..
jab tu door hoga is dil ko kaun samjayega...

ab kam se kam deedar to roz ho jata hai,
khuda na kar gar tu door ho gya, to fir kese khud ko ye naadan sambhal payega??

roti huyi un palko ko na chup karane wala koi hoga,
aansuo ka samandar behta hi chala jayega,,,

par aage ka soch k aaj kyu gawa raha hai?
Ye aaj bhi ret ki tarah teri muthi se choot ta chala jayega,,


ae dil sambhal ja zara,
na kar wo khata jo sadiyo se log karte aaye hai,,

hamesha k liye paane ki chaahat me,
jo hath me h use bhi gwaate chale aaye hai,,

pyar ka matlab paana nahi hoti...
fir se dikha k is jahaan ko sacche pyar ka matlab..

khud ko na kasoorvar samjhe wo tere jaane k liye..
khushiya itni bhar de uske charo aur, k bhool jaye wo sab...


Monday, 25 March 2013

aaj bhi hai....


Humne jo ki thi mohabbat aaj bhi hai,
teri zulfon k saye ki chaahat aaj bhi hai

raat kat jaati h ajj bhi khayalo me tere,
deewano si wo meri haalat aaj bhi hai..

kisi aur k tasaffur ko uthti nahi,
baimaan aankhon me thodi sharafat aaj bhi hai,

chaah k ek baar fir chaahe chod dena tu,
dil tod tujhe jaana ki ijaazat aaj bhi hai..

tanhaaiyo se chal rahi is jung ko hum fir jeet lenege,
in tnahaaiyo ko tera intezaar aaj bhi hai..

aankhon ki nami bhi ab to har pal keh rahi,
in dil me tere liye wahi pyaar aaj bhi hai..


mar mar akr jeene wale is naadan se pooch,
tere aane ki is raah ko darkaar aaj bhi hai..

na mili tu to jee na paayenge,
us khuda k aage ye meri guhaar aaj bhi hai,,

dil todne k liye to aaja fir ikk bar.,
ye dil tere haatho tootne k liye bekaraar aaj bhi hai..


kar sakta khatm khduko to maut se dosti kar leta,
is jism ko maut ka intezaar aaj bhi hai...

tu bhale laakh inkaar karle,,
m jaanta hu tere dil me mere liye pyaar aaj bhi hai ..
mere liye pyaar aaj bhi hai ,,
mera intezaar aaj bhi hai,,, :(

Friday, 18 January 2013

jee lenge hum,,,

ab tere bin jee lenge hum,
zindagi zeher h to kya hua?
wo bhi pee lenge hum,,,

haan magar dil toota nahi hamara,
kyuki to tere pass hi reh gya,

tune jo naha main wo sunta raha,
aur bas tere hi saaye me mein beh gya :)

kesi ye aashiqi ki tune mujhse
kesa pyarar kar betha m tujhse?

tune nibhayi poore dil se wafaayi,
lekin kar na paaya m bhi bewafaayi...

haan bhool ki mene tera dil toda,,

par sazaa to mujhe bhi mili,
tanhaayi ne jo mujhse daaman joda...

bekaraari tu bhi jaanti hai,
tanhaayi mein bhi jaanta hu,,





na tu hi h bedard na hi bmurawwat,
jaanta hu dil k kisi kone me

abh bhi karti h mujhse mohabbat,,

bhoolonge kese jo tune diya mujhe wo pyaar..
aaj bhi yaad h jab kiya tha tune mujhse
apne pyaar ka izhaar,,,,

aaj bhi judi h tu meri har yaad se,
teri yaadon ka assar kabhi na hoga kam,,,
ab tere bin jee lenge hum,,
zindagi zeher h to kya?
haan,,jaam ke jaam bhar k pee lenge hum :)