Total Pageviews

Friday, 24 February 2012

tanhaa......

khud se h ya apne alfaazo se....jinhe piroya karta tha bade naazo se...
aaj unhi se khafaa hu ki kyu bayaa karte h mere dil ka haal kyu reh nahi paate chup chaap.........
 jab lafz muh se nikalte h to dard ki wajah ban jaate hai..
lekin jab syaahi me doob jaate hai to jo m kabhi keh na saka wo sab bhi keh jaate hai...
bas kami h to itni k in k kehne kaa andaaz kuch aesa hai... 
jaane anjaane kisi ko dard ka ehsaas de jaate hai!!!
 andaaz-e-bayaan mera kuch is kadar reh jaata hai... 
k is dil me likhne ka khayaal tak mit jaata hai.......
naarazgi ka ye sabab h k rutha hu is duniyaa is jahaan se...
bas reh nahi paata warna jeena chahta hu m b bhaut shaan se!!
hansta hu magar akele me dard chubhta hi rehta hai harpal...har lamha...
sanbke saath bhi hu fir kyu har pal rehna chaahta hu mai TANHAA!!!!

No comments:

Post a Comment