aj fir se ye ehsaas hua akelepan kaa....dard se tadap rahe is tanha mann ka...
jin aankho mein pyaar kabhi chalakta tha,,aaj unhi nazro mein ehsaas hua apne liye anjaanepan ka...
rona to bahut chaaha par kambakht aansu bhi uske saamne naa aye..
ye lab to hain bethe muskurahat mein hi sab dard chupaaye..
pyaar ek tadap ek kashish me badal gaya reh gayi to bas yaadein...
koshish ki bahut lekin bhula naa paaya wo muskurahat wo hansi aur wo saari baatein...
kiya tha jab pyaar to deewanapan tha ,,ek ajeeb si khushi me booba ye mann tha..
aaj baaki h to bas tanhaayi aur wo yaadon ka daaman...bacha h zindagi mein kabhi na bharne waala khaalipan....
ab naa zarurat h koi na hi koi pyaar aur naa hi kisi ki talaash...
ek jism hai kehne ko warna ban gaya hu ik chalti firti laash,,,,
No comments:
Post a Comment