Total Pageviews

Friday, 14 March 2014

Maasoom si un nazro ne jab dekha hamein ik baar
Deewane ban bethe kar bethe un se pyaar
 

Chashmo k jharonkhe se un neele nigaahon ne
Shrmaa k mujhe dekha balkhaati adaaon se

Teere nazar dil ke usi pal me paar ho gya
Jhalla to m pehle hi tha,, aashiq ab yaar ho gya

Us din se shuru yun huyi Kahaani ik anjaani si
ye Raja to mukammal tha, kami thi to bas rani ki
 

Beet te waqt k saath tadap badhti gyi is kadar
iss Raja k dil kit hi naa us kamsin ko koi khabar

Himmat jutaa kar fir ikk din Raja ne badhaya kadam
Rishte ki mukammal shuruat dosti se kyu na karein hum???

Sharmaate huwe rani ne thaama raja ka hath
Aur yahi se shuru huyi is pyaar ki ikk shuruaat J


Thursday, 13 March 2014

Gunehgaar hu m tera jo tujhe pyaar
De naa paaya jo tujhe kabhi the mene izhaar kiya
Bhaagte h hum khushiyon ki aur
Aur mene tujhe khud se door jaane ka har maukaa diya

Bada h dil tera jo aaj bhi tu mere saath hai
Tere badappan k aage meri kya aukaat hai
Karz kabhi na main chukaa nahi paauga teraa..
Ki tune mujhpe khushiyon ki jo barsaat hai


Ikk main hun begairat jisne hmesha
Tera dil tod kar chakna choor kiya
Ikk tu hai nekdil sangemarmar ki moorat
Jisne har tanhaayi k mauke pe mera saath diya J

Bepanaah mohabaat to kar li tujhse
Par us mohabaat ko nibhaana na aaya
Maang nahi sakta tujhse ab saath hone ka haq
Aur ye haq mene khud hi h ganwaaya L


Glti pe glti mai karta gya
Sochaa naa tha ikk din aese bhanwar me fass jauga
Dhokha diya mene tera har mod per
Iss gunaah ki sazaa m paana chahunga

Tere mere rishte ko mene
Har mod per neeche dikhaaya hai
Fir bhi tanhaayi ki un galiyon me
Mene har pal tujhe saaye ki tarah saath paaya hai


Bahut bada h tera dil
Jo iss naapak se rishta nibhaane ki chaahat hai
Mai to iss layak nahi k tere saaye k aas pass fatak saku

Ikk tu h jisne mujhe banaaya apni dosti k laayak h

Tuesday, 25 February 2014

Toota hai to kya hua, dil to dil hai na
Dhadakta h kisi aur k liye to kya kru???

Na chaaha tha fir bhi ho gya ishq mujhe,,,
Ab dard mein hi dawa h to main kya karu???

Reh nahi skta tere bin, she nahi skta teri doori
Tu mera nahi hai, kisi aur ka hai ye bhi jaanta hu


Dard hota hai tujhe kisi aur ka hote dekh kar,,,
Kyuki aaj bhi sachhe dil se main tujhe apna manta hu L

Di jo tune sazaa tujhse pyaar karne ki ,,,
Kya tha mera qasoor ikk baar ye to bataa jaataa

Kyu?? Jab rulaana hi tha to pass aaya kyu ??
Kam se kam dil todne ki wajah to de jaata ..

Apnaaya tha kisi aur ko,, tune banaaya tha use apna
to fir mujhe shamil apni zindagi me kyu kiya..

khoon k aansua ka ye dariya behta chorr kar,,
tune mujhe janmo janmo k liye tanha kyu kiya???


Jawaab nahi maangti,,naa hi koi safaayi chaahti h meri rooh
Chaht h to bas sukoon ki maut tere gale lag kar,,,

Khaer naseeb me to mere wo bhi nahi likha mere…
Likha h to tadapna yahi isi dharti per har pal jal-jal kar :’(