Total Pageviews

Wednesday, 29 January 2014

no love at all...

Do I look like a man who would care?
When someone left me alone?
I used be the same until you came,
But like a flash before I could notice u were gone


You left me with scars that will never heal
And pain that still causes ache in my soul
You broke me, shattered me and tore me apart
What prompted you to leave me tell it to me all L



Was my love a little too much
Or was it too less for you to lead your life?
Or the mistakes I made were too much to forgive
Or did I feel like a liar when to you I apologized?


I still have nightmares of you leaving me
I cannot sleep even in the darkest of nights
It’s been way too long since I had peace inside me
There’s always a disturbed me and all my never ending inner fights L

There’s no love left inside of me,
Only a rage that burns me completely
But no one can understand what I go through

Coz I can hide my feelings very neatly

Sunday, 26 January 2014

sapno ki duniyaa,,,,

Kaash m is dard ko bayana kar paata
Jo har baar tu de jaata hai
M tere pass aane ki umeed karta hu
Aur tu har baar door jaane ki wajah de jaata h


Iss raat ki tanhayi ko tu kya jaane ae dost
Khudaa kare tere naseeb me kabhi tanhaayi na ho
Humne to aadat daal li andhero me jeene hi,
Aur dua karte h teri zindagi me kabhi ruswaayi na ho

Muh se nikale huye shabd aur kamaan se nikale teer
Kabhi wapis nahi mode jaa skte, wese hi
Ikk baar jo toot jaatein hai rishte
Wo taumr koshisho k bawajood
Dobara nahi jode ja sakte L


Tu meri thi hi nahi kabhi Ikk jhootha khwab tha..
Jo neend khulte hi toot gaya mera
Thaan liya us din se mene fir na karuga kisi se pyaar
Us din se din din na raha,, mera sathi ban gya tanhaa raaton ka andhera

Kuch sawaalo k ujawaab maangna chahta tha
Tujhse mere lamho ka hisaab maangna chahta tha
Par ab koi ichha nahi rahi tujhse maangne ki
Faad di yaadon ki tune wo kitaab jo m maangna chahta tha

Bol kar aese bol jo sannata kar gye meri duniyaa me
Tod gaye mere kaanch ka mahal jo sambhal kar rkhna chahta tha

Sabne kaha tha sapno me jeena chorr de, Par main hi pagal tha

Sabke khilaaf jaa kar jo sapno duniya bacha kar rkhna chahta tha….

Wednesday, 22 January 2014

tadap...

Dil mera tod diya usne buraa kyu maanu
Aakhir todne ka haq bhi to mene hi diya tha
Tanhaa akele chodd diya usne par shikwa kya
Zindagi bhar saath chalne ka waada to nahi kiya tha

Na de paaya use wo har khushi jo sochi thi
Mil gyi use mohabbat kisi aur se gilaa nahi
Naseeb mein nahi likha tha milnaa hamaara
Ab kyu shikayat karu uske liy jo milaa nahi
Chupp chupp kar bahut royaa hu mai tanhaayi me
Jaanta hu tadapi to wo bhi baut hogi magar
Chhahat mene bhi ki thi chaaat usne bhi ki thi
M khada reh gya aur wo darr gyi dekh kar kaanto bhari dagar
Aasaan nahi hoga ye mene kabhi socha na tha
Yahi kehta tha use ki mauka mile to apni khushiyo ki taraf jaana
Par sochaa na tha kabhi uski khushi mujhse door jaane me hogi
Khaer ban na tha ban gya,, koi na koi bahaana
Tu kahaa chali gyi mujhse door ye nahi jaanta
Magar baarish ki boonde ab bhi is jalte huwe man to tadpaa jaati hai
Bhulaana chaahta hu har wo lamha magar kya karu
Reh reh kar kahin naa kahin se teri yaadd aa jaati hai L

dil chaahta hai...fir se

Toot kar chaahne ko tujhe dil chaahta hai,
Aaj in baahon me tujhe thaamne ko dil chaahta hai
Kya hote h ye dil k jazbaat bhi..
Aaj fir se tujhe toot kar chaahne ko dil chaahta hai


Zamaane ki nazro se door le kar kahi
Aaj udd jaane ko mera ye dil chaahta hai
Tu meri hai main tera hoon hmesha
Iss jhooth ko aaj fir se sach maan ne ko dil chaahta hai

Kami jo reh gyi thi pichli dafaa meri mohabbat mei
Aaj us sab ko bhulaa kar nayi shuruaat karne ka
Tujhe apnaane ka apna banaane ka,
Saato janmo k liye jud jaane ko dil chaahta hai


Mil jaayege tujhe laakho mujh jese
Par tu laakhon me ek hai ye dil jaanta hai
Arz kar sakta hu ikk aakhri tujhe mai,
Uss khuda se tujhe har dafaa maangne ko dil chaahta hai


Kaun hun main kya hun mai kaha se aaya
Iss sab ko bhool jaane ko dil chaahta hai
Bhula kar do jahaan ki saari bandishe

Teri baahon me hmesha k liye samaa jaane ko dil chaahta hai